Allahi Allah Kiya Karo Dukh Na Kisee Ko Diya Karo

Allahi Allah Kiya Karo Dukh Na Kisee Ko Diya Karo

Joh Duniya Ka Malik Hai Nam Usee Ka Liya Karo

Allahi Allah, Allahi Allah,

Allahi Allah, Allahi Allah.


Kab Chere Pe Jhoot Saja Ke Milti Hai Sachaai

Jhoote Ko Duniya Me Hamesha Milti Hai Ruswaai

Sach Ki Raah Pe Chala Karo Dukh Na Kisi Ko Diya Karo

Jo Duniya Ka Malik Hai Naam Ussi Ka Liya Karo


Sheesha Toot Ke Jud Sakta Hai Dil Na Joode Gar Toote

Kitna Hai Be-dard Wo Insaan Pyaar Ka Ghar Jo Loote

Aisa Zulm Na Kiya Karo Dukh Na Kisi Ko Diya Karo

Jo Duniya Ka Malik Hai Naam Ussi Ka Liya Karo


Khudgazi Ki Is Duniya Me Pyaar Se Jeena Seekho

Yuun Logo Ka Dil Na Dukhaao Rab Se Darna Seekho

Sab Se Mohabbat Kiya Karo Dukh Na Kisi Ko Diya Karo

Jo Duniya Ka Malik Hai Naam Ussi Ka Liya Karo


Aye Mere Allah Karam Ki Ho Nigaah

Mile Teri Panaah Hai Lab Pe Ye Dua

Aye Azam O Azeem Aye Khaliq E Kareem Aye

Malik E Raheem Tu Hai Meri Sadaa


Tere Naam Say Ae Mola Mera Naam Saawarta Hai

Tere Zikr Say Ae Mola Meri Firaq Nikhreti Hai

Tere Yaad Ke Saaye Main Mila Hai Sakoon Mola

Ho Ishq Tera Dil Pher Kaisa Janoon Mola


Tere Zikr Zikr E Azeem Hai

Tere Zaat Zaat E Kaleem Hai

Tere Shaan Shaan E Kareem Hai

Tera Naam Be To Raheem Hai


Tu Haqeem Hai Tu Aleem Hai

Tu Ghafoor Hai Tu Haleem Hai

Tu Jamal Hai Tu Kamal Hai

Tu Habib Hai Tu Tabeb Hai


Tu Mujeeb Hai Tu Raqeeb Hai

Tu Hi Shaarago Say Qareeb Hai

Meri Shan Tu Meri Jaan

Tu Meri Aan Mera Emaan Tu


Allahi Allah Kiya Karo

Dukh Na Kisi Ko Diya Karo

Jo Duniya Ka Malik Hai

Naam Ussi Ka Liya Karo.


--------------------------------------------------

--------------------- Other ----------------------

-------------------- Version ---------------------

--------------------------------------------------


Allah Hi Allah Kiya Karo Dukh Na Kisi Ko Diya Karo

Jo Duniya Ka Maalik Hai Naam Usi Ka Liya Karo.

Allah Hi Allah Allah Hi Allah Allah Hi Allah

Allah Hi Allah Allah Hi Allah Allah Hi Allah


Maa Ki Narazi Se Tu Jannat Ko Barbaad Na Kar

Baap Ki Na-famani Se Tu Maula Ko Naraaz Na Kar

Uf Na Kaho Unki Khidmat Me Sada Labo Ko Siya Karo

Jo Duniya Ka Maalik Hai Naam Usi Ka Liya Karo.


Mo’min Ko Izaa Pohchana Kaisa Gunah E Aazam Hai

Gaali Dene Geebat Karne Ka Anjaam Jahannam Hai

Kalma Padte Dam Akhir Ho Haq Haq Kehte Jiya Karo

Jo Duniya Ka Maalik Hai Naam Usi Ka Liya Karo.


Aleem Hai Wo Khabeer Hai Rakhta Hai Kul Aalam Ki Khabar

Siyahakaro Gunah Har Lamha Hai Uske Pesh E Nazar

Daro Hamesha Keher O Gazab Se Haya Khuda Se Kiya Karo

Jo Duniya Ka Maalik Hai Naam Usi Ka Liya Karo.


Gadagaro Bhuko Pyaso Ki Har Dum Tum Imdaad Karo

Bewa Yateemo Gam Ke Maro Ko Har Pal Tum Shaad Karo

Bacho Aaah Se Mazlumo Ki Kamzoro Pe Daya Karo

Jo Duniya Ka Maalik Hai Naam Usi Ka Liya Karo.


Jinke Gulaam Hai Jin O Mala’ik Jin Ki Gulami Me Hum Sab

Unki Raza Maula Ki Raza Hai Unka Gazab Maula Ka Gazab

Chorro Jis Se Khush Na Piya Ho Khush Ho Jisse Piya Karo

Jo Duniya Ka Maalik Hai Naam Usi Ka Liya Karo.


Mundao Na Daadi Ko Ye Mehboob E Pak Ki Sunnat Hai

Badhao Na Mucho Ko Is Me Dono Jaha Ki Zillat Hai

Nabi Ki Sunnat Saja Ke Apne Chehre Ko Pur Ziya Karo

Jo Duniya Ka Maalik Hai Naam Usi Ka Liya Karo.


Bande Apne Khalik O Maalik Ke Mukhlis Tum Banjao

Aur Dikhawe Ke Daldal Me Girne Se Tum Bach Jao

Momino Tum Aamaal Me Apne Dikhawa Aur Na Riya Karo

Jo Duniya Ka Maalik Hai Naam Usi Ka Liya Karo.


Tumhe Khuda Ne Deen Diya Qur’an Diya Imaan Diya

Roza Namaz Aur Haj O Zaka’at Tum Par Hai Ehsaan Kiya

Deen Pe Jab Jab Aafat Aaye Jaam E Shahadat Piya Karo

Jo Duniya Ka Maalik Hai Naam Usi Ka Liya Karo.


Unke Noori Jalwo Se Rab Ne Chamkaye Ye Aalam

Khushbo Se Zulfo Se Unki Mehkaye Hai Ye Aalam

Unke Pyar Ka Har Dum Zahid Dilme Raushan Diya Karo

Jo Duniya Ka Maalik Hai Naam Usi Ka Liya Karo.