Mustafa Jaane Rehmat Tazmeen (Saahibe Taaje Izzat Pe Laakhon Salaam)

Saahibe Taaje Izzat Pe Laakhon Salaam

Waaqife Raaze Fitrat Pe Laakhon Salaam

Qasime Kanze Ne'mat Pe Laakhon Salaam

Mustafa Jaane Rehmat Pe Laakhon Salaam

Sham'e Bazme Hidaayat Pe Laakhon Salaam


Jisko Bechain Rakhta Tha Ummat Ka Gham

Nek O Bad Par Raha Jiska Yaksa Karam

Woh Habeeb E Khuda Woh Shafee' E Umam

Shehre Yaare Iram Tajdaar E Haram

Nau Bahaar E Shafa'at Pe Laakhon Salaam


Sarware Do Jahaa(n) Shaahe Jinn O Bashar

Jiski Chaukhat Pe Jhukte Hain Shaahon Ke Sar

Abde Khaaliq Magar Khalq Ka Taajwar

Saahibe Raj'ate Shams Wa Shaqqul Qamar

Naaibe Daste Qudrat Pe Laakhon Salaam


Woh Khuda Wande Aqleeme Jood O Sakha

Haadiye Ins O Jaan Shaah Har Do Saraa

Sar Bar Aawarda E Halqa E Ambiya

Jis Ke Zere Liwa Aadam O Man Siwa

Us Sazaa E Siyaadat Pe Laakhon Salaam


Ahde Tifli Mein Woh Di Lbarana Chalan

Dilsitaa(n) Khamoshi Mo'jizaana Sukhan

Husn Mein Dilkashee Chaal Mein Baankpan

Allah Allah Woh Bachpane Ki Phaban

Us Khuda Bhaatee Soorat Pe Laakhon Salaam


Surmagee Aankh Maazaagh Ki Raazdaa(n)

Halqaye Zulf Ummat Ka Darul Amaa(n)

Haath Fayyaz Uqda Kusha Ungliyan

Patli Patli Gule Quds Ki Pattiyaa(n)

Un Labon Ki Nazakat Pe Laakhon Salaam


Noor Afsha Hua Jab Woh Bat-ha Ka Chand

Dekhne Aaye Sab Roo E Zeba Ka Chand

Aasmaa(n) Par Pada Maand Duniya Ka Chand

Jis Suhani Ghadi Chamka Taiba Ka Chand

Us Dil Afroz Saa'at Pe Laakhon Salaam


Jis Ghadi Yaad Baab E Haram Aa Gaya

Soze Furqat Se Aankhon Mein Nam Aa Gaya

Mauj Mein Jab Woh Eesa Hasham Aa Gaya

Jis Taraf Uth Gayi Dam Mein Dam Aa Gaya

Us Nigaahe Inaayat Pe Laakhon Salaam


Ranje Tanhaayi Tanha Se Pooche Koi

Darde Shabbir Zahra Se Pooche Koi

Teh Mein Kya Hai Ye Dariya Se Pooche Koi

Kis Ko Dekha Ye Moosa Se Pooche Koi

Aankh Walon Ki Himmat Pe Laakhon Salaam


Jiski Taqdees Ka Rang Gehra Raha

Jiske Dar Par Farishton Ka Pehra Raha

Magfirat Ki Sanad Jis Ka Chehra Raha

Jis Ke Maathe Shafa'at Ka Pehra Raha

Us Jabeen E Sa'adat Pe Laakhon Salaam


Bandagi Jis Ke Sadqe Thikaane Lage

Jis Ke Dekhe Khuda Yaad Aane Lage

Jis Se Rote Hue Muskuraane Lage

Jis Se Taareek Dil Jagmagaane Lage

Us Chamak Wali Rangat Pe Laakhon Salaam


Roo E Raushan Pe Padti Nazar Ki Qasam

Aamina Ke Chamakte Qamar Ki Qasam

Mujh Ko Sarkaar Ke Sange Dar Ki Qasam

Khaayi Qur'a(n) Ne Khaake Guzar Ki Qasam

Us Kafe Paa Ki Hurmat Pe Laakhon Salaam


Jis Ka Haami Khuda Wande Aalam Raha

Fateh Ka Jiske Haathon Mein Parcham Raha

Jis Ka Rutba Jahaan Mein Musallam Raha

Jis Ke Aage Sare Sarwara(n) Kham Raha

Us Sar E Taaj E Rif'at Pe Laakhon Salaam


Jis Ke Aage Salaateen E Aalam Jhukein

Jis Ke Ik Bol Par Ahle Dil Mar Mitein

Jis Ki Ta'meel E Irshad Qudsi Karein

Woh Zabaa(n) Jis Ko Sab Kun Ki Kunji Kahein

Uski Naafiz Hukumat Pe Laakhon Salaam


Waqt E Deedar Chashm E Tamaasha Jhuki

Dekh Kar Jalwa Gar Mauje Dariya Jhuki

Jis Ki Aamad Pe Deeware Kisraa Jhuki

Jis Ke Sajde Ko Mehraabe Kaaba Jhuki

Un Bhawon Ki Lataafat Pe Laakhon Salaam


Khair E Duniya Nahi Khair E Uqba Nahi

Uske Daste Tasarruf Mein Kya Kya Nahi

Jiski Taaqat Ka Koi Thikaana Nahi

Jisko Baar E Do Aalam Ki Parwa Nahi

Aise Baazu Ki Quwwat Pe Laakhon Salaam


Kaun Hai Wo Karam Jis Pe Unka Nahi

Sab Ke Hain Sirf Mere Hi Aaqa Nahi

Ek Mai Hi Ghulam Unka Tanha Nahi

Ek Mera Hi Rehmat Mein Daawa Nahi

Shah Ki Saari Ummat Pe Laakhon Salaam


Khwaja Taash E Naseer E Sana Khwa(n) Raza

Woh Baraily Ke Ahmad Raza Kha(n) Raza

Laake Saf Mein Mujhe Unke Darbaa(n) Raza

Mujh Se Khidmat Ke Qudsi Kahe Haa Raza

Mustafa Jaane Rehmat Pe Laakhon Salaam